• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Se KHayal-E-Dost Bhulaya Na Jaega

Dil Se KHayal-E-Dost Bhulaya Na Jaega

dil se ḳhayal-e-dost bhulaya na ja.ega

siine men daagh hai ki miTaya na ja.ega

tum ko hazar sharm sahi mujh ko laakh zabt

ulfat vo raaz hai ki chhupaya na ja.ega

ai dil raza-e-ghair hai shart-e-raza-e-dost

zinhar bar-e-ishq uThaya na ja.ega

dekhi hain aisi un ki bahut mehrbaniyan

ab ham se munh men maut ke jaaya na ja.ega

mai tund o zarf-e-hausla-e-ahl-e-bazm tang

saaqi se jaam bhar ke pilaya na ja.ega

raazi hain ham ki dost se ho dushmani magar

dushman ko ham se dost banaya na ja.ega

kyuun chheḌte ho zikr na milne ka raat ke

puchhenge ham sabab to bataya na ja.ega

bigḌen na baat baat pe kyuun jante hain vo

ham vo nahin ki ham ko manaya na ja.ega

milna hai aap se to nahin hasr ghair par

kis kis se iḳhtilat baḌhaya na ja.ega

maqsud apna kuchh na khula lekin is qadar

ya.ani vo DhunDte hain jo paaya na ja.ega

jhagḌon men ahl-e-din ke na ‘hali’ paḌen bas aap

qissa huzur se ye chukaya na ja.ega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yun Dawat-E-Shabab Na Do Main Nashe Mein Hun

Hasti Ko Apni Shola-Ba-Daman Karenge Hum

Kitna Bhi Muskuraiye Dil Hai Magar Bujha Bujha

Tumhaari Yaadon Ko Ilzam Dete Rahte Hain

Hum Ko Masti O KHwari Aai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet