mil gaya shara se sharab ka rang
khuub badla gharaz janab ka rang
chal diye shaikh subh se pahle
ud chala tha zara khizab ka rang
paai hai tum ne chand si surat
asmani rahe naqab ka rang
subh ko aap hain gulab ka phuul
dopahar ko hai aftab ka rang
laakh janen nisar hain is par
didani hai tire shabab ka rang
tiktiki bandh gai hai budhon ki
didani hai tire shabab ka rang
josh aata hai hosh jaata hai
didani hai tire shabab ka rang
rind-e-ali-maqam hai ‘akbar’
bu hai taqva ki aur sharab ka rang
Leave a Reply