kabhi to aa miri ankhon ki raushni ban kar
zamin-e-khushk ko sairab kar nami ban kar
racha hua hai tiri kam-nigahiyon ka karam
nashe ki tarah mire dil men sarkhushi ban kar
kabhi to aa tapish-e-jan-gusal hi dene ko
kabhi guzar inhi rahon se ajnabi ban kar
khusha ki aur mila gham ka taziyana hamen
khusha vo dard jo chhaya hai naghmagi ban kar
tumhen aziiz nahin hai to ho aziiz kise
na mil sakega koi vajh-e-zindagi ban kar
palat ke dekh na us ko vo khaak kar dega
tire ghurur ko zahrab ki ani ban kar
hui na us se vafa tum se kya hua ‘nahid’
abhi talak jiye jaati ho baoli ban kar
Leave a Reply