jaana hai usi samt ki chara nahin koi
jis samt ko rasta bhi nikalta nahin koi
bas dil ka hai sauda koi baazi nahin sar ki
thoḌa sa hai nuqsan ziyada nahin koi
manjdhar men kashti ka badalna nahin manzur
aisi mujhe sahil ki tamanna nahin koi
har shaḳhs yahan gumbad-e-be-dar ki tarah hai
avaz pe avaz do sunta nahin koi
ham sina-sipar aa ga.e maidan-e-vigha men
ab kyuun saf-e-ada se nikalta nahin koi
maana ki bura hai jo kam-amez huun itna
ye tera taghaful bhi to achchha nahin koi
vo shobada-gar hi na raha khel hua ḳhatm
hone ko bas ab aur tamasha nahin koi
ik naqd-e-hunar hai ki nahin jis ki koi qadr
paas is ke siva aur asasa nahin koi
pamali-e-gulshan ki ye tasvir hai ‘mohsin’
shadabi-e-gulshan ka ye naqsha nahin koi
Leave a Reply