achchha hua ki dam shab-e-hijran nikal gaya
dushvar tha ye kaam par asan nikal gaya
bak bak se nasehon ki hua ye to faeda
main ghar se chaak kar ke gireban nikal gaya
phir dekhna ki khizr phirega baha baha
gar su-e-dasht main kabhi giryan nikal gaya
khubi safa-e-dil ki hamari ye janiye
siine ke paar saaf jo paikan nikal gaya
hangame kaise rahte hain apne sabab se vaan
ham se hi nam-e-kucha-e-janan nikal gaya
furqat men kar-e-vasl liya vaah vaah se
har ah-e-dil ke saath ik arman nikal gaya
behtar hua ki aae vo mahfil men be-naqab
‘arif’ ghurur-e-mah-e-jabinan nikal gaya
Leave a Reply