apne dil ka haal na kahna kaisa lagta hai
tum ko apna chup chup rahna kaisa lagta hai
dukh ki bunden kya tum ko bhi khati rahti hain
ahista ahista Dhahna kaisa lagta hai
dard bhari raten jis dam halkore deti hain
dariyaon ke ruḳh par bahna kaisa lagta hai
main to apni dhun men chakraya sa phirta huun
tum ko apni mauj men rahna kaisa lagta hai
kya tum bhi sahil ki surat kaTte rahte ho
pal pal gham ki lahren sahna kaisa lagta hai
kya shamen tum ko bhi shab bhar be-kal rakhti hain
tum suraj ho tum ko lahna kaisa lagta hai
kya tum bhi galiyon men ghar ki vus.at paate ho
tum ko ghar se bahar rahna kaisa lagta hai
kam-ahang suron men tum kya gaate rahte ho
kuchh bhi na sunna kuchh bhi na kahna kaisa lagta hai
dard to sanson men baste hain kaun dikha.e tumhen
phulon par ḳhushbu ka gahna kaisa lagta hai
Leave a Reply