kahin ye lamha-e-maujud vahima hi na ho
jo ho raha hai ye sab pahle ho chuka hi na ho
vo sadma jis ke sabab main huun sar-ba-zanu abhi
ajab nahin miri danist men hua hi na ho
tire ghayab men jo kuchh kiya hikayat main
kahin vo gufta o na-gufta se siva hi na ho
kalam karti hui lahren chup na hon mire baad
mire liye kahin paani ruka hua hi na ho
guzarti shaam daraḳht aabju sukut aur main
suḳhan-misal ye manzar bhi gunjta hi na ho
ye kya ki main naya chehra liye uThun har roz
ye kya ki ‘turk’ mira ḳhvab TuTta hi na ho
Leave a Reply