achchha sa iḳhtitam bhi tum se na ho saka
is martaba salam bhi tum se na ho saka
suljhin na gutthiyan kabhi bahar ke ḳhauf ki
andar ka ehtiram bhi tum se na ho saka
bachchon ne aag oḌh li chiḳhon ke shor men
aise men kuchh kalam bhi tum se na ho saka
ḳharcha na ghar ka chal saka harfon ko bech kar
lahja badal ke naam bhi tum se na ho saka
apna hi ghar sambhalna bhi kaam hai koi
itna zara sa kaam bhi tum se na ho saka
Leave a Reply