miri divangi ki had na puchho tum kahan tak hai
zamin par huun magar meri rasai la-makan tak hai
tira jalva to aise aam hai saare zamane men
vahin tak dekh sakta hai nazar jis ki jahan tak hai
kisi ko kya khabar ehsas hai lekin mire dil ko
ki us ke pyaar ki barsat mere dasht-e-jan tak hai
zara barq-e-sitam se puchh leta kaash koi ye
tire qahr-o-ghazab ka silsila akhir kahan tak hai
hamin chubhte hain kyuun kanton ki surat aankh men teri
fasadi ka nishana kyuun hamare hi makan tak hai
tavajjoh khaak ke zarron ki janib kyuun karen ‘afzal’
nazar apni mah-o-parvin tak hai kahkashan tak hai
Leave a Reply