Ab masKHari Mat Kar chhoD Faqir

ab masḳharī mat kar chhoḌ faqīr

uTh mirī chādar chhoḌ faqīr

niiñd nivāla farsh do-shāla

dahlīz se bāhar chhoḌ faqīr

tū aur sirhānā DhūñD koī

is qabr kā patthar chhoḌ faqīr

andar kā jo bhī shosha hai

andar hī andar chhoḌ faqīr

haiñ aur bhī lañgar duniyā meñ

is dargah kā dar chhoḌ faqīr

daab chukā maiñ tere paañv

ab to mirā sar chhoḌ faqīr

ye jism kā boriyā takiya ke

ik taaq ke uupar chhoḌ faqīr

pakkā hai gurū-ghanTāl ‘shafaq’

ab us kā chakkar chhoḌ faqīr

Leave a Comment