tark jis din se kiya ham ne shakebai ka
ja-ba-ja shahr men charcha hua rusvai ka
ghair dagh-e-dil-e-sad-chak na monis na rafiq
zor aalam pe hai aalam miri tanhai ka
pahron hi apne taiin aap huun bhula rahta
dhyan aata hai jab apne mujhe harjai ka
zalzala gor men majnun ki pada rahta hai
apna ye shor hai ab badiya-paimai ka
jalva us ka hai har ik ghar men basan-e-khurshid
farq hai apni faqat aah ye binai ka
kalma-e-haq bhi dam-e-naza na nikla munh se
shaikh ko dhyan tha aisa but-e-tarsai ka
kashish-e-nala use kahte hain ab vo jo ‘surur’
mahv-e-nazzara hua apne tamashai ka
Leave a Reply