chahti hai aḳhir kya agahi ḳhuda-ma.alum
kitne rang badlegi zindagi ḳhuda-ma.alum
kal to ḳhair ai rahbar tere saath rahrav the
aaj kis pe hansti hai gumrahi ḳhuda-ma.alum
ab bhi sub.h hoti hai ab bhi din nikalta hai
ja chhipi kahan lekin raushni ḳhuda-ma.alum
rasti gurezan hai ashti hirasan hai
kis se kis se uljhega aadmi ḳhuda-ma.alum
ab to vaqt aaya hai Duub kar ubharne ka
kitni kashtiyan Dubin aur abhi ḳhuda-ma.alum
zauq-e-naghma-e-paira.i tu hi baḌh ke de avaz
kab se gharq-e-hairat hai ḳhamushi ḳhuda-ma.alum
sirf bhiik mangi thi ham ne adamiyat ki
kyuun biphar ga.e ‘yaqub’ mudda.i ḳhuda-ma.alum
Leave a Reply