• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sham Thi Hum the Aur Samundar Tha

Sham Thi Hum the Aur Samundar Tha

shaam thi ham the aur samundar tha

kis qadar dil-fareb manzar tha

ik taraf thi ḳhushi ujalon ki

ik taraf shaam hone ka Dar tha

the pareshan tiir nazron ke

jab talak dil mira hadaf par tha

vo tha kamsin ye sach sahi lekin

hasraton men mire barabar tha

dil to tha mutma.in rifaqat men

ḳhauf sa dhaḌkanon ke andar tha

apne hathon use ganvaya hai

jis men pinhan mira muqaddar tha

us ki rangin qurbaton ke sabab

raat jannat-numa mira ghar tha

shahr-e-jan ki udaas galiyon men

mushta.il ḳhvahishon ka lashkar tha

shor kamre men tha qayamat ka

chup ka aalam ‘ḳhayal’ bahar tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mere Hi Aas-Pas Ho Tum Bhi

Hum Hain Bas Itne Hi Sahil-Ashna

mirza-ghalib

Ba-Nala Hasil-E-dil-Bastagi Faraham Kar

akhtar-ul-iman

Ahd-E-Wafa

poet

Aish Sab Khush Aate Hain Jab Talak Jawani Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet