mausam-e-gul men koi kab hosh-mandana chala
phuul dekhe jis ne kanTon men vo divana chala
ek hi manzil pe har raahi ko jaana tha magar
zo.am-e-batil men chala jo bhi judagana chala
us ke har ik gaam par thi kamrani saath saath
kargah-e-dahr men jo sarfaroshana chala
va.izan-e-kam-nazar hain dushman-e-tamkin-e-hosh
miT gaya vo in ki baton par jo divana chala
mai-kade men ranj-o-gham kaisa kahan ki mushkilen
har ḳhalish jaati rahi jab daur-e-paimana chala
afrin sad afrin ye himmat zauq-e-talab
sham.a ke jalte hi jal marne ko parvana chala
koi asrar mashiyyat ho na paaya ashkar
be-ḳhabar aaya tha ‘kashfi’ aur begana chala
Leave a Reply