mohabbat se mukar jaana zaruri ho gaya tha
palaT ke apne ghar jaana zaruri ho gaya tha
nazar-andaz karne ki saza deni thi tujh ko
tire dil men utar jaana zaruri ho gaya tha
main sannaTe ke jangal se bahut tang aa ga.i thi
kisi avaz par jaana zaruri ho gaya tha
main sassi ki tarah soti rahi aur chal diye tum
bata dete agar jaana zaruri ho gaya tha
ta.aqub ḳhud na karti to mire aansu nikalte
main kya karti ‘qamar’ jaana zaruri ho gaya tha
Leave a Reply