• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mehr-O-Ulfat Se Maal-E-Tahzib

Mehr-O-Ulfat Se Maal-E-Tahzib

poet

mehr-o-ulfat se ma.al-e-tahzib

ḳhaksari hai kamal-e-tahzib

hai vo ara.ish-e-husn-e-batin

jis ko kahte hain jamal-e-tahzib

kam nahin mardumak-e-chashm se kuchh

ruḳh-e-insan pe ḳhal-e-tahzib

aj-kal ham men agar sach puchho

shakl anqa hai misal-e-tahzib

kabhi hota nahin bad-vaz.a ka ḳhauf

hai ajab jah-o-jalal-e-tahzib

ruḳh pe karta hai matanat paida

dil men aate hi ḳhayal-e-tahzib

apne matlab ka jahan kuchh ho lagav

nahin rahta hai ḳhayal-e-tahzib

qaum ka apne na ghaTta vo uruuj

ho na jaata jo zaval-e-tahzib

jam-e-jam se hai kahin pur-tamkin

bazm-e-ḳhullat men sifal-e-tahzib

us ka ḳhuun karte hain jo nahaq-kosh

un ki gardan pe vabal-e-tahzib

murda qaumon ke liye ab-e-hayat

banta jaata hai zulal-e-tahzib

badr ban ja.ega chande men ‘habib’

haq ne chaha to hilal-e-tahzib

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abu-mohammad-sahar

Phulon Ki Talab Mein Thoda Sa Aazar Nahin To Kuchh Bhi Nahin

ali-sardar-jafri

Infiradiyat

Teri Mohabbat Mein Gham Jo Aae to Us Se baDh Kar KHushi Nahin Hai

Hafiz Shirazi

dida Labrezam Sarapa Intizar-e-Kistam

sajida-zaidi

Nazr-E-Ghaalib

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet