tujh bin bahut hi katti hai auqat be-tarah
jun-tun ke din to guzre hai par raat be-tarah
hoti hai ek tarah se har kaam ki jaza
aamal-e-ishq ki hai mukafat be-tarah
bulbul kar us chaman men samajh kar tuk ashiyan
sayyad lag raha hai tiri ghaat be-tarah
puchha payam-bar se jo main yaar ka javab
kahne laga khamosh ki hai baat be-tarah
milne na dega ham se tujhe ek-dam raqib
pichhe laga phire hai vo bad-zat be-tarah
koi hi mor hai to rahe is men shaikh-ji
dadhi padi hai shane ke ab haath be-tarah
‘sauda’ na mil kar apni tu ab zindagi pe rahm
hai us javan ki tarz-e-mulaqat be-tarah
Leave a Reply