ye soch rakha hai koi shikva nahin karunga
main apni ghairat mazid rusva nahin karunga
miri vafa.en tire ravayye pe munhasir hain
vafa karunga magar ye va.ada nahin karunga
nahin suna.unga ab gulabon ko tera qissa
main titliyon se bhi tera charcha nahin karunga
vo ik masiha jo saari basti ka charagar hai
vo mujh se kahta hai tujh ko achchha nahin karunga
tum ab ke mujh ko jo raste men kahin miloge
to dekh lena koi ishara nahin karunga
baḌi ummidon se main ne puchha vafa karoge
baḌe tafaḳhur se mujh se bola nahin karunga
kisi ke Dar se main jan-e-‘nasir’ ko dost kah duun
muaaf kijega hargiz aisa nahin karunga
Leave a Reply