vo zamana na sahi itna to de sakta tha
mujh ko ik dost mire jaisa to de sakta tha
dene vaale ka irada na tha kuchh dene ka
varna dariya na sahi qatra to de sakta tha
kyon nahin aane diya bazm men us gunge ko
vo hamen lafz nahin lahja to de sakta tha
kaise afsos na ho laash na mil paane ka
main use saans nahin kandha to de sakta tha
vo nahin chahta tha yadon se bechain rahun
varna jaate hue ik bosa to de sakta tha
Leave a Reply