• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHizan Ke Jaane Se Ho Ya Bahaar Aane Se

KHizan Ke Jaane Se Ho Ya Bahaar Aane Se

ḳhizan ke jaane se ho ya bahar aane se

chaman men phuul khilenge kisi bahane se

vo dekhta rahe muḌ muḌ ke su-e-dar kab tak

jo karvaTen bhi badalta nahin Thikane se

ugal na sang-e-malamat ḳhuda se Dar naseh

milega kya tujhe shishon ke TuuT jaane se

zamana aap ka hai aur aap us ke hain

laḌa.i mol len ham muft kyuun zamane se

ḳhuda ka shukr savere hi aa gaya qasid

main bach gaya shab-e-furqat ke naaz uThane se

main kuchh kahun na kahun kah rahi hai ḳhak-e-jabin

ki is jabin ko hai nisbat ik astane se

qayamat aa.e qayamat se main nahin Darta

uTha to de koi parda kisi bahane se

ḳhabar bhi hai tujhe a.ina dekhne vaale

kahan gaya hai dupaTTa sarak ke shane se

ye zindagi bhi koi zindagi hui ‘bismil’

na ro sake na kabhi hans sake Thikane se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

farah-iqbal

Shikayat Hum Nahin Karte Riayat Wo Nahin Karte

Ishq Fani Na Husn Fani Hai

ahmad-zafar

Yun Zamane Mein Mera Jism Bikhar Jaega

Shab-E-Visal Jo Pahna Tere Badan Ka Libas

Tez-Tar Lahja-E-Guftar Kiya Hai Humne

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet