bulbul gulon se dekh ke tujh ko bigad gaya
qumri ka tauq sarv ki gardan men pad gaya
chin-bar-jabin na ai but-e-chin rah ghurur se
tasvir ka hai aib jo chehra bigad gaya
aai to hai pasand use chaal yaar ki
sun liijo paanv kabk-e-dari ka ukhad gaya
pichhe hata na kucha-e-qatil se apna paanv
sar se tadap ke chaar qadam aage dhad gaya
khinchi jo meri tarah se qumri ne ah-e-sard
jaade ke maare sarv chaman men akad gaya
shirin ke shefta hue parvez-o-kohkan
shaer huun main ye kahta huun mazmun lad gaya
allah-re shauq apni jabin ko khabar nahin
us but ke astane ka patthar ragad gaya
darman se aur dard hamara hua do-chand
marham se daagh siine men nasur pad gaya
guldasta ban ke raunaq-e-bazm-e-shahan hua
kuuda jo us faqir ke takiye se jhad gaya
nikla na jism se dil-e-nalan sharik-e-ruh
manzil men rang naaqa se apne bichhad gaya
pahuncha majaz se jo haqiqat ki kunah ko
ye jaan le ki raste men pher pad gaya
furqat ki shab men ziist ne apni vafa na ki
qabl-e-sahar charagh hamara na badh gaya
paata huun shauq-e-vasl men ahbab ki kami
husn-o-jamal-e-yar men kuchh farq pad gaya
lashon ko ashiqon ke na uttho gali se yaar
basne ka phir ye gaanv nahin jab ujad gaya
dekha tujhe jo khun-e-shahidan se surkh-posh
turk-e-falak zamin men khajalat se gad gaya
barson ki raah aa ke azizan nikal gae
afsos karvan se main apne bichhad gaya
aaya jo sharh-e-laal-e-lab-e-yar ka khayal
jhanda qalam ka apne badakhshan men gad gaya
main nai liya baghal men pari-ru visal ko
dev-e-firaq kashti men mujh se bichhad gaya
‘atish’ na puchh haal tu mujh dard-mand ka
siine men daagh daagh men nasur pad gaya
Leave a Reply