• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum

Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum

poet

ye bhi koi vaz.a aane ki hai jo aate ho tum

ek dam aa.e nahin guzra ki phir jaate ho tum

duur se yuun to koi jhamki dikha jaate ho tum

par jo chahun ye ki paas aao kahan aate ho tum

kahiye mujh se to bhala itna ki kuchh main bhi sunun

banda-parvar kis ke haan tashrif farmate ho tum

us pari-surat bala-angez ko dekha nahin

naseho ma.azur ho gar mujh ko samjhate ho tum

dekhiye ḳhirman pe ye barq-e-bala kis ke paḌe

be-tarah kuchh tevari badle chale aate ho tum

jo koi banda ho apna is se phir kya hai hijab

main to is laa.eq nahin jo mujh se sharmate ho tum

aaj ye go aur ye maidan unhen kah dijiye

dekh luun jin ke bharose mujh ko dhamkate ho tum

phir na avenge kabhi aisi hi gar azurda ho

bas chale ham ḳhush raho kaahe ko jhunjlate ho tum

halat-e-‘bedar’ ab kya kijiye aap aage bayan

vaqt hai ab bhi agar tashrif farmate ho tum

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kisi Marqad Ka Hi Zewar Ho Jaen

abul-hasanat-haqqi

Jaane In Aankhon Ne Us dasht Mein dekha Kya Kya

faiz-ahmad-faiz

dar-E-Umid Ke daryuza-Gar

Hum Ghair Samajhte Use Aisa Bhi Nahin KHair

Wahshat Ka Kahin Asar Nahin Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet