kyon kahte ho paanv nahin ghar chalta hai
aisi hi baton par ḳhanjar chalta hai
asuda hai kaun tamasha-bini se
ankhen thak jaati hain manzar chalta hai
raat ga.e sab aapas men mil jaate hain
ḳhvabon ki duniya men bistar chalta hai
shishe ka ghar achchha lagta hai lekin
shishe ke ghar par hi patthar chalta hai
pyaas bujhana sahil sahil ja kar kya
ḳhud aa.ega ḳhuub samundar chalta hai
bahar bahar yunhi nahin main be-tartib
tez hava ka jhonka andar chalta hai
‘shahid’ vo manzar kaisa hota hai jab
pagDanDi par chand utar kar chalta hai
Leave a Reply