shaiḳh o barhaman donon hain bar-haq donon ka har kaam munasib
bech len fauran dair-o-haram bhi paa.en kahin gar daam munasib
mera to har ik fel abas hai ghair ka har iqdam munasib
vaqi.a ye hai piiv jise chahen us ka suhagan naam munasib
vaqt ka paiham yuun hai taqaza rahbar-e-sad-sala ko haTa do
jaise purani chiiz ka akasr hota hai nilam munasib
ḳhauf hai din ko dekhe na duniya ho na taqaddus aap ka rusva
qasd hai mai-ḳhane ka jo vaa.iz is ke liye hai shaam munasib
tere taghaful ne kiya zaḳhmi teri adaon ne hamen maara
chahne valon ke liye zalim the yahi atom-bam munasib
tujh ko ḳhabar kya is ki nahin hai sathi kahan se pahunche kahan tak
hosh men aa aram ke bachche ab hai nahin aram munasib
ye tiri sada-lauhiyan naseh rang kisi din la ke rahengi
ḳhuub banegi teri hajamat mil ga.e gar hajjam munasib
sim-o-javahar mah-laqa le apni harim-e-naz saja le
ḳhuub maze duniya ke uḌa le hain abhi ye ayyam munasib
baat bhi un se ki na kisi ne aarzu dil ki rah ga.i dil men
ghar men hi baiThi rah ga.i laḌki aaya na ik paigham munasib
shaiḳh o barhaman se koi kah de ruḳh na karen bhule se udhar ka
ye hai mai-ḳhana nahin is men daḳhila-e-ayyam munasib
jaur-o-sitam Dhane men jo paiham aaya hai un ke ruḳh pe pasina
hai mire armanon ke nahane ke liye ye hammam munasib
baat koi iz.har-e-haqiqat men bhi uTha rakhna nahin zalim
‘shauq’ kabhi ash.ar men jaise hota nahin ilham munasib
Leave a Reply