barahman le ke jo mere liye zunnar aaya
us ne samjha ki yahi but ka kharidar aaya
khud kharidar hua husn-e-butan ka vo kabhi
ho ke yusuf vo kabhi bar-sar-e-bazar aaya
shauq thame tha kamar aur tamanna baazu
ku-e-janan men mira jab dil-e-bimar aaya
lala-rukh kaisa hai dekhun to zara chal ke use
kis liye dil ki imarat men na vo yaar aaya
roz-e-raushan si shab-e-tar hui ankhon men
jis ghadi yaad tira gesu-e-khamdar aaya
hasrat-o-yas-o-tamanna ke mile pushtare
karvan ishq ka mujh tak ye liye baar aaya
kya darata hai mujhe tegh dikha kar qatil
maqtal-e-ishq men marne ko main tayyar aaya
talkhi-e-marg bhi dene lagi mujh ko lazzat
sar-e-balin dam-e-murdan jo mira yaar aaya
mere dilbar ke tasavvur ne kiya is ko hasin
main na samjha ye qaza aai ki vo yaar aaya
koi le ja ke mire dil ko ye kahta us se
le tire gesu-e-pur-kham ka giraftar aaya
ai ‘jamila’ na mila but na mila mujh ko khuda
main to us hasti-e-mauhum men be-kar aaya
Leave a Reply