ḳhud vo aate agar yaqin hota
dard pursish talab nahin hota
dil to kya jaan tak fida karte
tum sa lekin koi hasin hota
sajda karte hazar baar magar
koi dar la.eq-e-jabin hota
is men shamil jo hota zikr un ka
ye fasana bahut hasin hota
tere va.adon pe bhi yaqin karte
ham ko dil par agar yaqin hota
dil pe jab tak na us ke choT aa.e
aadmi kaam ka nahin hota
baada marghub-e-dil hai talḳhi se
zahr hota jo angbin hota
hasti-e-be-sabat ka ‘sahir’
naqsh koi to dil-nashin hota
Leave a Reply