qalam ko is liye talvar karna
ki badh ke zulm par hai vaar karna
mili hai zindagi to ham ne socha
hamen kaisa yahan kirdar karna
bhala pahle hi patthar kyuun bichhae
agar tha rasta hamvar karna
jahan par maan ko gahri niind aai
usi mitti ka hai didar karna
‘saba’ hai azmaish ka tasalsul
ki dariyaon pe dariya paar karna
Leave a Reply