vo qaza ke ranj men jaan den ki namaz jin ki qaza hui
tire mast-e-bada-e-shauq ne na kabhi paḌhi na ada hui
tire daur-daura-e-ishq men miri ek rang se kaT ga.i
na sitam hua na karam hua na jafa hui na vafa hui
mujhe ghair-e-ijz-o-niyaz ne tire dar pe ja ke jhuka diya
na to koi ahd likha gaya na to koi rasm ada hui
mira dil bhi tha miri jaan bhi thi na vahi raha na yahi rahi
mujhe kya ḳhabar ki vo kya hua mujhe kya ḳhabar ki ye kya hui
miri umr ‘muztar’-e-ḳhasta-dil kaTi ranj-o-dard-o-firaq men
na kisi se meri dava hui na dava se mujh ko shifa hui
Leave a Reply