• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh Na Kiya Arbab-e-Junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya

Kuchh Na Kiya Arbab-e-Junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya

abdur-rauf-urooj

kuchh na kiya arbab-e-junun ne phir bhi itna kaam kiya

dar-ba-dar uftad se khele zulf-ba-zulf aram kiya

savan shoale bhadke gulshan gulshan aag lagi

kaisa suraj ubhra jis ne sub.h ko atish-nam kiya

tanhai bhi sannate bhi dil ko daste jaate hain

rahgiro kis des men aa kar ham ne aaj qayam kiya

qarya-e-gul se dasht-e-bala tak ahl-e-havas ki yurish thi

kuchh to samajh kar divanon ne tark-e-jada-e-am kiya

raat ke hathon kab tak rahta shahr-e-nigaran tira-o-tar

apne lahu se ham ne charaghan akhir gam-ba-gam kiya

aish bhi guzre ranj bhi guzre dil ki halat ek rahi

kab jashn-e-aghaz manaya kab khauf-e-anjam kiya

‘mir’ ke gyani lakhon dekhe ‘mir’ si kis men baat ‘uruj’

meri biiti aap ne kah len khud ko abas badnam kiya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Nahin Aaram Ek Ja Dil Ko

akhtar-husain-jafri

Tapish Gulzar Tak Pahunchi Lahu diwar Tak Aaya

Aks-E-Ranj-O-Malal Hain Hum Log

poet

Kya din The Jab Chhup Chhup Kar Tum Pas Hamare Aate The

poet

Lamhe Teri Judai Ke

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet