ab kaun baat rah gai ye baat bhi gai
yaani kabhi kabhi ki mulaqat bhi gai
kahte hain vo ki jazba-e-dil ab fareb hai
jab dil gaya to dil ki karamat bhi gai
jo kuchh kiya vo tu ne kiya iztirab-e-shauq
sau afaten bhi aaiin miri baat bhi gai
dastar aap ki jo hui rehn-e-mai-kada
tauba hamari qibla-e-hajat bhi gai
vaade ki kaun raat qayamat ka din nahin
asar-e-subh kahte hain ye raat bhi gai
maana ki din sidhare ‘mubarak’ shabab ke
rangin tabiaton se mulaqat bhi gai
Leave a Reply