dil ko ham dariya kahen manzar-nigari aur kya
pursish-e-ahval-e-aqa kam-ayari aur kya
apne manzar se alag hota nahin hai koi rang
apni ankhon ke siva bad-e-bahari aur kya
ham bhi kuchh kahte pa us ki guftugu ka silsila
khatm hota hi nahin hai hoshiyari aur kya
sab utha kar le gaiin meri junun-samaniyan
ab sataegi hamen be-akhtyari aur kya
meri vahshat bhi sukun na-ashna meri tarah
mere qadmon se bandhi se zimmedari aur kya
us ziyan-khane men milti hi nahin dad-e-firaq
zabt ka paigham degi sogvari aur kya
ji men aa jaae to ham bhi muskura kar dekh len
aankh phir pahron na kholen shahryari aur kya
‘haqqi’ bechara akhir thak-thaka kar so gaya
apne zakhmon ki vo karta parda-dari aur kya
Leave a Reply