na karvan ka hamare koi nishan raha
na ham-safar na hi kashti na badban raha
zamin apni taraf khinchti rahi mujh ko
savar sar pe sada mere asman raha
mujhe ḳhabar thi gaya tha tu ghair se milne
main jan-bujh ke mahfil men be-zaban raha
tamam umr musallat raha vo dil pe mire
tamam umr main zalim ka mezban raha
hua na qaid-e-zaman-o-makan se main azad
zamin se duur magar zer-e-asman raha
sharik vo bhi tha mere ḳhilaf sazish men
ki jis ke saath sada mera khan-pan raha
na dil men jalti hui aag bujh saki ‘abid’
na sar pe mere kabhi koi sa.eban raha
Leave a Reply