chaman men kaun babulon ki Daal khinchta hai
yahan jo aata hai phulon ke gaal khinchta hai
vo tiir baad men pahle saval khinchta hai
saval bhi jo sama.at ki khaal khinchta hai
ai pyaar banTne vaale main ḳhuub janta huun
ki kitni der men machhvara jaal khinchta hai
nikal bhi sakta huun qaid-e-taḳhaiyyulat se gar
vo shaḳhs khinch le jis ka ḳhayal khinchta hai
main us ke aage nahin khinchta niyam se tegh
vo sher-shah jo dushman ki Dhaal khinchta hai
ye sard sub.h men soya shararti suraj
bas aankh khulte hi pariyon ki shaal khinchta hai
main hosh-mand huun ḳhud bhi so meri ghazlon men
na raqs karta hai ashiq na baal khinchta hai
Leave a Reply