main aghaz-e-hasti se havva ki surat
huun aadam ki khvahish ka ik shakhsana
zamin ko basane ka bas ik bahana!
main roz-e-abad nekiyon ka sila huun
na jaane main kya huun
gila khaliq-e-kul se kaise karun main
usi ki raza huun
ye hai fakhr-e-adam
ki bas ibn-e-adam
amin-e-khuda hai qarin-e-khuda hai
miri hasti kya hai
faqat vasta hai!
ye taslim hai
har sahife men
main abida momina saliha thi
magar jab farishton ne aadam ko sajda kiya tha
to havva kahan thi
main ruhon ke iqrar ke vaqt
jaane kahan kaun si saf men thi
ya nahin thii?
agar thi to iqrar bhi to kiya tha
adam men agar ruuh khud-muktafi thi
to phir khaliq-e-kun-fakan ki vo kya maslahat thi
ki main dusri thi!!
Leave a Reply