vasl ke din ka ishara hai ki Dhal ja.unga
dil ye kahta hai ki qaabu se nikal ja.unga
atish-e-ishq baḌhi jaati hai baiTho dam-bhar
garm-raftar rahoge to main jal ja.unga
intizar aap ka aisa hai ki dam kahta hai
nigah-e-shauq huun ankhon se nikal ja.unga
dil se kahta hai shab-e-vasl yahi shauq-e-visal
main vo arman nahin huun ki nikal ja.unga
saikḌon zaḳhm lagenge na haTunga qatil
shajar-e-bagh-e-mohabbat huun main phal ja.unga
ahd-e-tifli se ye kahta tha mizaj-e-janan
dekh lena ki javani men badal ja.unga
tifl-e-ashk aankh tak aata hai ye kahta hai ‘rashid’
mujh ko mardum ne jo roka to machal ja.unga
Leave a Reply