kaisa hai mera aks nahin dekhna mujhe
lagti hai meri zaat hi ḳhud a.ina mujhe
apna hi ban saka na kisi ka main ho saka
ḳhud-agahi ke zo.am ne dhoka diya mujhe
mil kar main us se a.ina-ḳhane men jab gaya
hairat se tak raha tha har ik aa.ina mujhe
dair-o-haram ki raah faramosh ho ga.i
teri talash ne ye kahan gum kiya mujhe
ab kosna abas hai ‘zafar’ kaali raat ko
suraj ki raushni ne bhi andha kiya mujhe
Leave a Reply