• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Shaer-E-darmanda

Shaer-E-darmanda

noon-meem-rashid

zindagi tere liye bistar-e-sanjab-o-samur

aur mere liye afrang ki daryuza-gari

afiyat-koshi-e-aba ke tufail

main huun darmanda-o-be-chara adiib

khasta-e-fikr-e-maash

para-e-nan-javin ke liye mohtaj hain ham

main mire dost mire saikadon arbab-e-vatan

yaani afrang ke gulzaron ke phuul

tujhe ik shaer-e-darmanda ki ummid na thi

mujh se jis roz sitara tira vabasta hua

tu samajhti thi ki ik roz mira zehn-e-rasa

aur mire ilm-o-hunar

bahr o bar se tiri zinat ke guhar laenge

mere raste men jo haail hon mire tira-nasib

kyuun duaen tari be-kar na jaaen

tere raton ke sujud aur niyaz

(us ka baais mira ilhad bhi hai)

ai miri sham-e-shabistan-e-vafa

bhuul ja mere liye

zindagi khvab ki asuda faramoshi hai

tujhe maalum hai mashriq ka khuda koi nahin

aur agar hai to sara-parda-e-nisyan men hai

tu ”masarrat” hai miri tu miri ”bedari” hai

mujhe aghosh men le

do ”ana” mil ke jahan-soz banen

aur jis ahd ki hai tujh ko duaon men talash

aap hi aap huvaida ho jaae

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afroz-rizvi

Sar-e-diwar Chunwai Gai Hun

Na Fasle Koi Nikle Na Qurbaten Niklin

kishwar-naheed

Hasrat Hai Tujhe Samne Baithe Kabhi dekhun

Junun Gar baDh Gaya Ruswaiyan Barbaad Kar Dengi

waseem-barelvi

Wo Jaante Hi Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet