kisi ki yaad men a.ankhon ko laal kya karna
jise bichhaḌna tha us ka malal kya karna
hamen to us ki juda.i aziiz rakhni hai
ye jah-o-hashmat o mal-o-manal kya karna
mohabbaten to faqat intiha.en mangti hain
mohabbaton men bhala e’tidal kya karna
ye kar-e-ishq to bachchon ka khel Thahra hai
so kar-e-ishq men koi kamal kya karna
vo rabte jo kiye ḳhud hi kal-adam ham ne
na.e sire se phir un ko bahal kya karna
Leave a Reply