Hairan Bahut Tabish-E-Husn-Digaran Thi

hairān bahut tābish-e-husn-dīgarāñ thī

tujh lab kī sifat lāl-e-badaḳhshāñ meñ kahāñ thī

phailā kiye dariyā-e-mohabbat ke kināre

un jhiil sī āñkhoñ meñ koī chiiz nihāñ thī

har jashn-e-tarab-nāk pe majlis kā asar thā

har uḌte hue bose meñ gard-e-ġham-e-jāñ thī

yā arz-e-yaqīñ par thī bichhī barf kī chādar

yā ghere hue phir mujhe duniyā-e-gumāñ thī

ham bārgah-e-vasl ke Thukrā.e hue log

ik sohbat-e-ayyām thī so nazr-e-fuġhāñ thī

ham zabt ke māroñ kā ajab haal thā ‘sāqib’

jo baat chhupānī thī vo chehroñ se ayaañ thī

Leave a Comment