kis ki sada pe kaan laga.e hue huun main
zaanu pe apne sar ko jhuka.e hue huun main
vo din ga.e ki yaad thi aThon pahar tiri
ab apne aap ko bhi bhula.e hue huun main
rangin dikha.i deta hai saara jahan mujhe
ankhon men un ke jalve basa.e hue huun main
maane hai tere aane men ai mast-e-naz kya
milne ki kab se aas laga.e hue huun main
‘sa.ib’ firaq-e-yad men ho maut hi nasib
har vaqt kaisa haal bana.e hue huun main
Leave a Reply