sabr aata hai juda.i men na ḳhvab aata hai
raat aati hai ilahi ki azaab aata hai
be-qarari dil-e-betab ki ḳhali to nahin
ya vo ḳhud aate hain ya ḳhat ka javab aata hai
munh men vaa.iz ke bhi bhar aata hai paani akasr
jab kabhi tazkira-e-jam-e-sharab aata hai
kis qayamat ki ye aamad hai ḳhuda ḳhair kare
fitna-e-hashr bhi ham-rah-e-rikab aata hai
rind-e-mashrab koi ‘beḳhud’ sa na hoga vallah
pi ke masjid hi men ye ḳhana-ḳharab aata hai
Leave a Reply