haan kabhi ruuh ko naḳhchir nahin kar sakta
tujh zaban ne jo kiya tiir nahin kar sakta
chand hota to ye mumkin tha magar chand nahin
so main us shaḳhs ko tasḳhir nahin kar sakta
main kahan aur ye ayat-e-ḳhad-o-ḳhal kahan
mus.haf-e-husn main tafsir nahin kar sakta
aankh ne dekha sar-e-sham vo manzar ‘fartash’
karna chahun bhi to tasvir nahin kar sakta
Leave a Reply