abr ke bin dekhe hargiz ḳhush dil-e-mastan na ho
tiir baran hove mujh par jab talak baran na ho
meri rusva.i ne tere husn ki ki hai numud
jab talak shabnam nahin ro.e to gul ḳhandan na ho
tarz teri guftugu ki hai gavah-e-mai-kashi
bu-e-gul aur nashsha-e-sahba kabhi pinhan na ho
shaiḳh ko vo jahl hai sau baar ka.abe ke ta.iin
jaa.e aur aa.e va-lekin phir gadha insan na ho
zikr-e-abru-e-butan se kyuun bura maane hai shaiḳh
kya hua kafir tujhe qible se ru-gardan na ho
sach bata ai jan-e-ishq o ishq-bazan kya hai tu
bin tire main us badan sa huun ki jis men jaan na ho
yaan se ja shaitan zulf-e-yar ko ham de chuke
ashiqon ka diin hai ye shaiḳh ka iman na ho
tark-e-taz-e-ghamza ka us ki yahi Dar hai ‘raza’
ye gham-abad apna shahr-e-dil kahin viran na ho
Leave a Reply