ishq ko bar-e-zindagi na kaho
baat itni bhi be-tuki na kaho
dil ko jis men ho fikr-e-sud-o-ziyan
us tijarat ko ashiqi na kaho
kuchh to marne ka hausla dikhlao
sirf jiine ko zindagi na kaho
dil-lagi ke siva bhi kuchh hai ishq
ishq ko mahz dil-lagi na kaho
kuchh na kah kar bhi apne dil ki baat
yuun ba-andaz-e-ḳhamushi na kaho
sab kaho par hamen ḳhuda ke liye
apne mahfil men ajnabi na kaho
jis ko kuchh aadmi ka dard na ho
aise zalim ko aadmi na kaho
dil ko baḳhshe jo zindagi ‘mansha’
tum to us gham ko gham kabhi na kaho
Leave a Reply