vahm koi guman men tha hi nahin
naqsh apna nishan men tha hi nahin
mujh se mansub ho gaya kyuun kar
vo jo mere bayan men tha hi nahin
log kaise mira yaqin karte
jhuuT mere bayan men tha hi nahin
chor aaya gaya bhi ḳhali haath
main to apne makan men tha hi nahin
bas purani ghisi-piTi baten
rang taaza bayan men tha hi nahin
phiki phiki bahar guzri hai
rang apna ḳhizan men tha hi nahin
ham ne sun kar bhi an-suni kar di
kuchh ta.assur azaan men tha hi nahin
mere sar ke liye jo ho mauzun
sang vo astan men tha hi nahin
der se ḳhamushi hai ḳhema-zan
shor kya karvan men tha hi nahin
aa raha tha zamin ki janib
vasvasa asman men tha hi nahin
Leave a Reply