bazm-e-takallufat sajane men rah gaya
main zindagi ke naaz uThane men rah gaya
tasir ke liye jahan tahrif ki ga.i
ik jhol bas vahin pe fasane men rah gaya
sab mujh pe mohr-e-jurm lagate chale ga.e
main sab ko apne zaḳhm dikhane men rah gaya
ḳhud hadsa bhi maut pe us ki tha dam-ba-ḳhud
vo dusron ki jaan bachane men rah gaya
ab ahl-e-karvan pe lagata hai tohmaten
vo ham-safar jo hiile bahane men rah gaya
maidan-e-kar-zar men aa.e vo qaum kya
jis ka javan a.ina-ḳhane men rah gaya
vo vaqt ka jahaz tha karta lihaz kya
main doston se haath milane men rah gaya
sunta nahin hai muft jahan baat bhi koi
main ḳhali haath aise zamane men rah gaya
bazar-e-zindagi se qaza le ga.i mujhe
ye daur mere daam lagane men rah gaya
ye bhi hai ek kar-e-numayan ‘hafiz’ ka
kya sada-lauh kaise zamane men rah gaya
Leave a Reply