jazba-e-shauq ko is taur ubhara jaa.e
ham jidhar jaa.en udhar un ka nazara jaa.e
aapsi rishton ki ḳhushbu ko koi naam na do
is taqaddus ko na kaghaz par utara jaa.e
saikḌon naam tire aur hain be-nam bhi tu
kaun se naam se ab tujh ko pukara jaa.e
raqs karti hai lahakti hai ajab masti men
kashti-e-dil ke bhanvar men jo utara jaa.e
meri ghairat ko kisi taur gavara hi nahin
tang-dasti men bhi haath apna pasara jaa.e
dil ke so.e hue armanon ne angḌa.i li
zindagi aa tujhe shishe men utara jaa.e
sub.h-e-raushan ko to aana hai vo aa.egi zarur
is bharose pe shab-e-gham ko guzara jaa.e
aa.ina dekh ke nahaq ye bigaḌna kaisa
gard a.ine pe hai us ko utara jaa.e
apne purkhon ki inayat ki tazim karo
ye hai vo qarz jo sadiyon na utara jaa.e
aaj ke daur men vajib hai yahi ‘chand’ ki ham
saath den us ka jidhar vaqt ka dhara jaa.e
Leave a Reply