garche ai dil ashiq-e-shaida hai tu
lekin apne kaam men yakta hai tu
ashiq o ma.ashuq karta hai juda
ai falak ye kaam bhi karta hai tu
laakh parde gar hon tere husn par
koi pardon men chhupa rahta hai tu
hal-e-dil kahne lagun huun main to shoḳh
mujh se yuun kahta hai ”kya bakta hai tuu”
paas baiTha us ke main roya kiya
yuun na puchha mujh se ”kyun rota hai tuu”
raat din tu hai miri aghosh men
main tira sahil mira dariya hai tu
bazm men us tund-ḳhu ki dauḌ dauḌ
kaam kyaa? kyun? kis liye jaata hai tu
vaan nahin mutlaq tira mazkur bhi
‘mus.hafi’ kis baat par bhula hai tu
Leave a Reply