main aise moḌ par apni kahani chhoḌ aaya huun
kisi ki aankh men paani hi paani chhoḌ aaya huun
abhi to us se milne ka bahana aur karna hai
abhi to us ke kamre men nishani chhoḌ aaya huun
bas itna soch kar hi mujh ko apne paas tum rakh lo
tumhare vaste main hukmarani chhoḌ aaya huun
isi ḳhatir mire charon taraf phaila hai sannaTa
kahin main apne lafzon ke ma.ani chhoḌ aaya huun
‘nadim’ is gardish-e-aflak ko main chaak samjha to
vahan par zindagi apni banani chhoḌ aaya huun
Leave a Reply