kafir huun gar kisi ko divana janta huun
ahval-e-qais ka bhi afsana janta huun
ai shola-ru zabani hai teri garm-joshi
main khuub rabt-e-sham-o-parvana janta huun
jam-e-sharab ka main kaahe ko multaji huun
ankhon ko teri saaqi paimana janta huun
kunj-e-qafas ko saunpa roz-e-azal qaza ne
ne daam janta huun ne daana janta huun
rahta huun mast har dam yad-e-nigah men us ki
kafir huun gar main rah-e-mai-khana janta huun
tere kunisht se main vaqif nahin barahman
apne harim-e-dil ko but-khana janta huun
sauda-e-ishq jab se mujh ko hua hai ‘joshish’
abadi-e-jahan ko virana janta huun
Leave a Reply